Sun 22 Jun 2008
Pathar ke aage sar na jhukana ke woh Devta ho jaye Kisi se itni Mohabbat na karna ke woh bewafa ho jaye
Yaad aate hain college ke woh din, Kitab ke pannon mein mudi mohabbatein; Masoom si harqat, nanhi si shararatein, Kaash! zindagi wahin thehar jaati.
Khawabo Me Kabhi Aap Bhi Khoye Honge, Khuli Aankhoo Se Kabhi Kabhi Soye Honge, Maana Fitrat Hai Muskurane Ki, Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge.
Pyar, Kaho To Alfaz, Mano To Bandagi, Socho To Gehra Sagar, Dubo To Zindagi, Karo To Aasan, Nibhao To Mushkil, Bikhare To Sara Aasman, Simte To Sirf Tum.
Dilse Dilki Duri Nahi Hoti, Kaash Koi Majburi Nahi Hoti, Aapse Milne Ki Tamanna Hain Lekin, Kahte Hain Har Tamanna Puri Nahi Hoti.
Bundo Se Moti Mang Lenge! Chand Se Chandni Mang Lenge! Agar Teri Mohabbat Naseeb Hui, To Teri Mohabbat Ki Khatir Khuda Se Ek Aur Zindagi Mang Lenge!
Nasha Jaruri Hai Jindagi k Liye,Par Sirf Sharab Hi Nahi Hai Bekhudi Ke Liye. Kisi Ki Mast Nighon Me Doob Jao, Bada Hasin Samundar Hai Khudkushi K Liye.
Kuch Bikhare Spano Se Ankh Me Nami Hai, Ek Chota Sa Asma Aur Umido Ki Zami Hai Yu To Bhaut Kuch Hai Jindagi Me, Sirf Jo Dur Hai Unki Kami hai.
Jaan Se Bhi Zyada Unhe Pyar Kiya Karte The, Yaad Din Raat Kiya Karte The, Ab Un Raho Se Guzra Nahi Jata, Jahan Baith Kar Unka Intezaar Kiya Karte The.