Zindagi aisi ho jo jine ko majboor kare;
Rahein aisi ho jo chalne ko majboor kare;
Khushboo kabhi dosti ki kam na ho;
Dosti aisi ho jo milne ko majboor kare.
dosti main dost dost ka khuda hota hai,
mehsoosh tab hota hai jab dost dost se juda hota hai,
tum milo na milo koi gum nahin ,
bas baat karo yeh kam nahi,
dosti main dhokha de vo hum nahin,
apni dosti rang de basnti se kam nahi.
Dil Ki Aawaj Ko Izhar Kahate Hai,
Jhuki Nigaho Ko Ekrar Kahte Hai,
Sirf ”Jatane” Ka Nam Ishq Nahi,
Kisi Ki Yaado Me Jeene Ko Bhi Pyar
Kahate Hai.
Mann hi sab kuch hai
Tann kuch bhi nahin
Mann hi sab kuch hai
Tann kuch bhi nahin
Aasmano mein so jayega
Dastano mein kho jayega
Tann kisi roz ban kar dhua
In havavo ka ho jayega
mohabbat se nahi to nafrat se hi sahi..
kabhi to lijiye aap mera naam hi sahi
har pehloo-e-khushi- o-ranj dekh liya..
duniya mein chaar roz kayaam hi sahi
de de saaqiya kuch dil behlaane ko..
bharaa nahin to khaali jaam hi sahi
jo zubaani aapki hai sar aankhon pe hai..
agar nahi lafz-e-inaayat dushnaam hi sahi
maana aapne rakeeb ke naam zindagi kar di…
mere hisse mein bhi kuch ho, ek shaam hi sahi
aaye hai to kuch batlaake jaaiye saahib..
apna pata nahi to apna naam hi sahi
bas ek teri mohabbat ke liye banaa hai woh..
tera “Muztar” izzatwala nahi badnaam hi sahi
Wo to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho�.
�. Toh itihaas banaati hai !
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !