Mon 1 Feb 2010
Hame nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai
`
Mahobbat Karnay Keh Bhi Khuch apne Adaab Hotay Hain,
Jaagti Aankhoon Main Bhi khoobsorat Khawaab Hotay Hain,
Har Koi muskurakar Dekhe Yeh zarrori Tu Nahi,
shabnami Aankhoon Main Bhi Sailaab Hotay Hain
`
Hamari tamanna thi mahobbat mein ashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi nazar zamane ki,
usi ka karz hai jo aaj hain aankhoo mein aasoon,
Aashiyan bana ke saza mili hai muskurane ki
`
Meri band aankhoin ka saccha kwaab ho tum,
meri tanhaio ke sawalo ka javab ho tum,
ab to khudai bhi ruth jaye to gum na hoga
meri duniya, kaynaat mera chaand ho tum
`
Teri nasili nigaho ki garmi pathar ko bhi pighla de,
tere husn ki ek jhalak kitne he tajmahal banva de,
bheegi saanse,sone sa rang,aadao main naster hain tere
insaan to kya tu farishto ka bhi imaan dagmaga de
`
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the
`
Koi Jagah na thi dil mein mohabbat ke liye,
aapki nazar giri toh jagah ho gayi,,,,,
Bure zamaane mein achha bankar jeene ki,
hume maut ki sazaa ho gayi,,,,,,,
Zindagi humaari hai har pal dhalti shaam,
chehra aapka dekha toh subha ho gayi…..
`
Sachin Choudhary
Romantic Jatt
mail me at
[email protected]