Ishq

Usne sab ko bataya k bohat udaas hai wo…..
Mujh se kyun na kaha ,ik baar us ne……

mene jo kaha tha k ik baar keh k daikhtay…
Mujh pe kyun na kiya tha etibaar usne….

Wo khud to mohabbat k baray da’way karta hai..
Phir kyun na kiya tha izhaar usne……

Wo kehta ha mujhe tera saath chahiye..
to barh k kyun na thaama mera haath usne….

Wo kehta hai tu meray dil me rehta hai..
phir kyun kiye itnay inkaar usne….

Milo ge mujhe to mill jaye gi zindagi mujh ko…
itna he keh dia hota,Bus..ik baar usne….