Wed 24 Jun 2009
Khamosh se tum rahane lage ho,
Intzaar kisi ka karne lage ho,
Yakeenan kisi se hui hai mohabbat,
Bina baat hi muskaraane lage ho.
Zindagi mohtaaz nahi manzilon ki,
Vakt har manzil dikha deta hai,
Marta nahi koi kisi se juda hoke,
Vakt sabko jeena sikha deta hai.
Apni zindagi se kuch pal de de mujhe,
Aaj na sahi too apna kal de de mujhe,
Khushi de ya na de marzee teri,
Apna dukh aur dard tu chal de de mujhe.
Zaruri nahi dosti me mulakaat hoti rahe,
Zaruri nahi ki baat hoti rahe,
Par jo zaruri hai vo bas yahi,
Ki dost ko meri dosti yaad aati rahe.
Kaash samajhte vo is dil ki tadap ko,
To yu na hame roosva kiya hota…
Aapki yah berookhi bhi manjoor thi hame,
Bas ek baar hame samajh liya hota.
Hausle dil me jab machalte hai,
Kuch naye raaste nikalte hai…
Dost ban gaye aap jabse,
Gam dur khade haath malte hai.
Jab se mile hai tumse ham,
Saare gam bhula diye hamne,
Khushiya thi na naseeb me hamaare,
Phir bhi jeena sikha diya tumne.
Jinki mohabbat sachi hoti hai,
Vo kab fariyaad karte hai,
Labon se to kuch nahi kahte,
Magar dilon se pyaar karte hai.
Ek zara-si bhool khata ban gai,
Meri vafa hi meri saza ban gai,
Dil liya aur khelkar tod diya,
Hamaare aansu nikle,
Aur ye unke hothon ki muskaan ban gai.
E dost teri dosti ke liye duniya Chod denge,
Ham teri taraf aaye har toofan ko mod denge,
Lekin tune jo saath Choda,
Kasam se teri haddiya tod denge.
Yun to kisika peecha nahin karte,
Dard-e-dil diya aur liya nahin karte,
Ittefaq ki baat hai ye hamari dosti varna,
Itna kimti SMS kisi ko kiya nahin karte.
Khushiyon par fizaon ka pehra hai,
Na jane kis umeed pe dil thehra hai,
Teri ankhon se jhalakte dard ki kasam,
Yeh dosti ka rishta pyar se gehra hai..
Raatein gumnam hoti hai,
Din kisike naam hota hai,
Hum zindagi kuch is tarah jite hai,
Ki har lamha sirf doston ke hi naam hota hai.
Zindagi me Jab Maayus hue Hum
To Socha k kya paaya kya khoya
Khone ka to hisaab na laga paaye
Yaad raha to bas itna ke
Zindagi se bhi pyara..
Aap jaisa Ek dost Paaya