Saari duniya to thi mere janaaje ke piche,
Ek vo hi nahi tha mere janaaje ke piche,
Ho bhi to kaise,
Uska janaaja bhi tha mere janaaje ke peeche…
`
Chale bhi aao ki ham tumse pyaar karte hai,
Ye vo gunaah hai jo ham baar-baar karte hai,
Log maut tak hi dildaar ki raah taakte hai,
Ham hai ki kabr me bhi tera intajaar karte hai…
`
Maut pe hame yakeen hai, unpe bhi hame aitbaar hai,
Ab dekhna hai ki kaun aata hai pahle,
Hame to dono ka intajaar hai…
`
Aansuo ko bahut samajhaya, tanhaai me aaya karo,
Mahfil me yun hamara majaak na udaya karo,
Aansu tadap ke bole mahafil me aapko tanha paate hai,
Isaliye ham chale aate hai…
`
Hamne maanga tha saath uska,
Wo judaai ka gam de gaya,
Ham to yaadon ke sahaare hi jee lete,
Par vo na bhul jaane ki kasam de gaya…
`
Chaahne se koi cheej apni nahi hoti,
Har muskuraahat khushi nahi hoti,
Kahna to chaahte hai bahut kuch,
Magar kabhi waqt to kabhi jubaan saath nahi hoti…
`
Ae musaafir ham bhi chale the kabhi un raaho par,
sajaaye the hamne bhi aakhon ke saajh par kuch sapne,
Lut gaye ham unhi se jo the kabhi mere apne…
`
Jab sooraj dhalta hai to aasmaan ka rang badal jata hai,
Jab kismat badalti hai to logo ka dhang badal jata hai,
Din dhalte-dhalte sooraj bhi dhal jata hai,
Andhera hote-hote saya bhi chod jata hai…
`
Aaj arse baad jab suni uski aawaaj,
To laga ki mere bahut paas hai wo,
Ho gai nam ye aankhen jab hosh aaya aur paya ki
Kabhi na poori hone waali aas hai wo.
`
Kitni jaldi ye mulakaat gujar jaati hai,
Pyaas bujhati nahi ki barsaat gujar jaati hai,
Apni yaado se kah do ki yu na aaya kare,
Neend aati nahi aur raat gujar jaati hai.
`
Bahut tamanna thi, rishto ka aashiyaan bana ne ki,
Bana chuke to lag gayi najar jamaane ki,
Usi ka karj hai jo aaj hai aankhon me aansu,
Saja mili hai hame muskurane ki…
`
Pee hai sharaab har gali har mahkhaane se,
Ek dosti si ho gayi hai sharaab ke jaam se,
Gujre hai ham kuch aise mukaam se ki nafrat
Si ho gayi mohabbat ke naam se.
`
Ham raah me khadi imaarat ko manjil samajh baithe,
Chamakne waale patthar ko sona samajh baithe,
Wo to is dil ke rishte ko samajh hi na sake
Aur ham use khuda samajh baithe.
`
Ae kaash shaayri ham bhi likh paate,
Lafjo ke khel ham bhi khel paate,
Khuda ne dil par chot kuch aisi di,
Aasuo ko chupaake kaash ham bhi muskura paate.
`
Kaash ye pal yahi rook jaaye,
Aap se mile ham daude chale aaye,
Ae khuda ek kaam yah bhi kiya hota,
Ek dil is bedard waqt ko bhi diya hota.
`
Ye sach hai ki aa jaata hai shohrat ka asar,
Insaan to kya farishte bhi badal jaate hai,
Aur bewafa badle ye na badle,
Waqt aane par vafadaar bhi badal jaate hai.
`
Dosti ke naam pe deewaane chale aate hai,
Shama ke peeche parwaane chale aate hai,
Tumhe yaad na aayi khair,
Aana meri maut par, us din to begaane bhi chale aate hai.
`
Aap ki baddua bhi dua ban ke lagi,
Aapke har gam ne bhi sakoon diya,
Ham jinda hai to yah jaankar ki pyaar se na sahi par,
Aapne hame yaad to kiya…
`
Wo aai nahi kabhi mujhe yaad karke,
Wo gayi jab bhi mujhe barbaad karke,
Agar wo aaye meri maut pe to use kah dena,
Abhi soya hai tujhe yaad karke…
`
Apni wo mulakaat kuch adhoori-si lagi,
Paas ho ke bhi thodi doori si lagi,
Hothon pe hasi aankhon me majboori si lagi,
Jindagi me pahli baar kisi ki doori si lagi.
`
Cheej bewafaai se badkar kya hogi,
Gam-e-haalaat judaai se badkar kya hogi?
Jise deni ho saja umra bhar ke liye,
Saja tanhaai se badkar kya hogi?
`
Samet lo in haste huye naajuk palon ko,
Na jaane ye lamhe kal ho na ho?
Ho bhi ye lamhe to kya maaloom,
Shaamil un palon me ham ho na ho…?
`
Ek tooti hui janjeer ki fariyaad hai ham,
Aur duniya ye samajhati hai ki aajaad hai ham,
Is aashiqi ne kya diya hai hamko,
Kal bhi barbaad the, aur aaj bhi barbaad hai ham…
`
Kaash banaane waale ne dil kaanch ke banaaye hote,
Kasam khuda ki todne waale ke haatho me jakhm to aaye hote…
`
Apno ne jahar ka jaam de diya,
Gairo ne bewafa ka naam de diya,
Jo kahta thai hame bhool na jana,
Usi ne bhoolne ka paigaam de diya…
`
Murjha gaya phool par bahaar wahi hai,
Door rahte hai par pyaar wahi hai,
Jaante hai mil nahi pa rahe aapse,
Magar in aankhon intjaar wahi hai…
`
Mahfil saji thi jaam ka tha daur,
Jaam me kya tha ye kisne kiya tha gaur?
Jaam me tha lahu mere armaano ka,
Aur sab kah rahe the ek aur ek aur…!
`
Mera jaam hai khaali,
To koi baat nahi,
Ye aitbaar to hai ki,
Poora mahkhana apna hai…
`
Aasmaan ko pata tha ki raat kya hoti hai,
Jubaan ko pata tha ki baat kya hoti hai,
Ab tak anjaan tha jin thapedo se mai,
Wo bewafa bata gayi ki bewafaai kya hoti hai?
`
Haatho se gir gayi lakeere kahi,
Bhool aaye ham apni takdeere kahi,
Bhool aaye ham apni takdeere kahi,
Agar tumhe kahi mile to utha lena,
Mere hisse ki saari khushiya apne haatho me saja lena.
`
Gam is kadar mila ki ghabra ke pi gaye,
Khushi thodi si mili ki mila ke pi gaye,
Yu to na the ham peene ke aadi,
Sharaab ko tanha dekha, to taras kha ke pi gaye.
`
Dil me intajaar ki lakeer chod jaayenge,
Aankhon me yaado ki nami chod jaayenge,
Dhoondhte firoge hame ek din,
Jindagi me ek yaar ki kami chod jaayenge…
`
Fareb tha uski hasi me ham aashiqi samajh baithe,
Maut ko ham apni jindagi samajh baithe,
Waqt ka majaak tha ya badnaseebi meri,
Uski do baato ko ham chaahat samajh baithe.
`
Tanhaai ko hamdam ki jaroorat hai,
Har jakhm ko marham ki jaroorat hai,
Muddat se bechain hai jee apna,
Shaayad ek naye gam ki jaroorat hai…
`
Unke chehare ko aankhon se hata na sake,
Dil ki betaabi dikha na sake,
Kitni dilchasp hai mohabbat ki majboori,
Saamne manjil thi par kadam badh na sake.
`
Apni jindagi se kuch pal de de mujhe,
Aaj na sahi to apna kal de de mujhe,
Khushi de ya na de marji teri,
Apne dukh aur dard tu chal de de mujhe…
`
Is do pal ki jindagi me tanhaai kyon hai,
Logo ko hamse rooswaai kyon hai?
Is duniya me insaan kam nahi hai,
Phir hamaare saath sirf hamaari parchaai hai?
`
Dosti ki judaai ka gam mat karna,
Door rahke bhi dosti kam mat karna,
Agar mile jindagi ke kisi mod pe,
To hame dekhakar aankhen band mat karna.
`
Jakhm dene ka andaaj kuch aisa hai,
Jakhm dekar poochate hai ab haal kaisa hai,
Kisi ek se gila kya karna,
Saari duniya ka mijaaj ek jaisa hai.
`
Phool sookh jaate hai ek waqt ke baad,
Log badal jaate hai ek waqt ke baad,
Apni dosti bhi tootegi ek waqt ke baad lekin
Wo waqt aayega meri maut ke baad…
`
Mohabbat ek aisi cheej hai jo har gam bhula deti hai,
Magar kismat saath na de to mohabbat bhi daga de jaati hai.
`
Bina dard ke aansu bahaaye nahi jaate,
Bina pyaar ke rishte nibhaaye nahi jaate,
Ae dost ek baat yaad rakhna,
Bina dil diye dil paaye bhi nahi jaate.
`
Na kabhi muskurahat aapke hothon se door ho,
Aapki har khwaahish hakeekat ko manjoor ho,
Ho jaaye jo aap mujhse khafa,
Khuda na kare mujhse kabhi aisi kasoor ho.
`
Gam ki aahat bhi na aaye tere dar par,
Pyaar ke samundar ka tu bhi ek kinara ho,
Kabhi bhool se jo tapke teri aankhon se moti,
Thame wo jo tujhe sabse pyara ho.
`
Ye raat itni tanha kyon hoti hai,
Kismat se apni sabko shikayat kyon hoti hai?
Ajeeb khel khelti hai kismat,
Jise ham pa nahi sakte usi se mohabbat kyon hoti hai?

Neha Shah