zindagi

Har taraf har jagah beshumar admi,
Phir bhi tanhaiyon ka shikaar admi,
Subah se shaam tak bojh dhota admi,
Apni hi laash ka khud mazaar admi,
Roz jita hua roz marta hua,
Har naye din naya intzaar admi,
Zindagi ka mukaddar safar dar safar,
Akhri saans tak bekraar admi…