Mon 11 Aug 2014
Zindagi se zindagi kam hoti dikh rahi hai
Har puraana jazbaa ek tamaasha lagtaa hai
Jin hothon pe izehaar ke mehekte nagmey they
Aaj duwayen unse tol-maap ke nikal rahi hai
Dil hamaara hai, par bas unka chaltaa hai
Baat unki hai, par dil hamaara rota hai
Kya kabhi aisi bhi adaalat hoti hai jahan
Har kaydey ka mujrim ek hi hota hai
Peheley aashiq, phir dilrubaa, phir diwaana hai
Kya aisa shakhs tumney pehley kahi dekha hai
Mumkin kuch bhi hai ?Satish? is duniya mey jahan
Baadal ko bhi bhoolney wale dariye maujood hai…