Pyar

Bewafa se wafa kar baithe,
Apni hi wafa par daag laga baithe,
Zamana toh kehta raha,
Ishq na karna,
Par hum apni wafa ko,
Bewafai ka naam de baithe,
Wafa ki har kasam nibathe rahe,
Par bewafai ki har kasam thod baithe,
Ab log hamari wafa par hasa karte hai,
Humne jo wafa nibayi,
Us par shak kiya karte hai,
Zindagi ka har panna,
Hamari tanhayee ka hisaab detha hai,
Humne jo khwaab dekhe thae,
Unki bhi keemat kehtha hai,
Hamari wafa par,
Mehfilo mein log hasa karte hai,
Humne jo gum dekhe hai,
Unhe us bewafai ki keemat bathathe hai,
Na jaane log bewafai kar kaise jeethe hai,
Hum toh wafa karke bhi,
Har saas ek nayi maut marte hai

(- – Sachin – -)