Guide
Aaj Main Kitni Aazadi Mehsoos Kar Raha Hoon!
Jism Jaise Maange Karna Bhool Gaya;
Man Tadapna – Tadpaana Bhool Gaya;
Jeevan Aaj Jaise Mutthi Me Hai !
Maut Jaise Ek Khel Hai!
`
Lagta Hai Aaj Har Iccha Puri Ho Gayi….
Par Ab Maza Dekho, Aaj Koi Iccha Hi Nahi Rahi !
`
Zindagi Pighalkar Prakash Ban Gayi…..
Aur Sacchaai Mera Roop Hai !
Tan Rahe Na Rahe , Mai Rahoonga!
`
Aag Mein Phek Do, Main Jalunga Nahi!
Talwaar Se Vaar Karo, Main Katunga Nahi!
Tum Ahankaar Ho, Tumko Marna Hoga;
Main Aatma Hoon, Amar Hoon!
`
Maut Ye Khayaal Hai Jaise Jindagi ye Khayaal Hai !
Na Sukh hai, Na Dukh Hai
Na Deen Hai, Na Duniya
Na Insaan , Na Bhagvaan
Sirf Main Hoon, Main Hoon, Main Hoon,
Main Hoon…Main ..Sirf Main !!
`

Anand

“Babu moshai, hum aane waale dukh ko kheench taan kar is pal main lee aate hain. Aisa kyon?”
`
‘Anand mara nahi. Anand marte nahi’
`
“Chela jaate jate guru ko sikhaa gayaa”
`
“Babu moshai zindagi aur maut uparwale ke hath hai jahapana, jise na aap badal sakte hain na main. Hum sab to rangmanch ki kathputliyan hain jiski dor us upar wale ke haathon main hai kab, kaun kahan uthega ye koi nahin janta “
`