Sun 22 Jun 2008
Baap: Beta is bar tujhe exam me 90% lana hai !
Beta: Nahi Dad, mai to is bar 100% launga !!
Baap: Kyo Mazak kar rahe ho ?!!
Beta: Shuru kisne kiya tha ?
Sun 22 Jun 2008
Baap: Beta is bar tujhe exam me 90% lana hai !
Beta: Nahi Dad, mai to is bar 100% launga !!
Baap: Kyo Mazak kar rahe ho ?!!
Beta: Shuru kisne kiya tha ?
Fri 13 Jun 2008
Sar jukaogay to, pathar devta ho jayega,
Itna mat chaho usay, woh be-wafa ho jayega
Hum bhi dariya hain hamein, apna hunar maaloom hain,
Jis taraf bhi chal padangay, raasta ho jayega
Main khuda ka naam lay kar, pee raha hoon doston,
Zahar bhi ismay agar, hoga dava ho jayega
Rooth jana to mohabbat kee, alamat hai magar,
Kya khabar thi mujh say woh, itna khafa ho jayega
Sar jukaogay to pathar devta ho jayega,
Itna mat chaho usay woh be-wafa ho jayega
Fri 13 Jun 2008
Aasmaan mein kaali ghata chaaiyi hai,
aaj fir girl friend se maar khaayi hai
kahti hai ki sudhar jao,
magar meri galti nahi hai doston
barabar waali ladki aaj mini skirt mein aayi hai.
Aasmaan mein kaali ghata chaayi hai…
usko dekh meri haalat chakrayi hai,
dil mein baat karne ki khwahish aayi hai.
par aaj kismat ne bhi tangdi khayi hai
aaj meri gf mere saath mein market aayi hai.
Aasmaan mein kaali ghata chaayi hai…
saare armanoo ki hui aaj vidai hai
arre bhai maine uske saamne maar khaayi hai
sharam ne mooh par laali lagayi hai
par dil hai ki maanta nahi
chupke se karta mooh dikhai hai.
Aasmaan mein kaali ghata chaayi hai…
aaj fir girl friend se maar khaayi hai…
Kitney Achey Hotey Hein Bachpan Key Wo Din,
Fri 13 Jun 2008
do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee
pahali hi mulakaat me, kuchh baat to ban jaayegee.
sataayegee yaad priye ki, tarpaayegee tanhaiyaa
chehra dikhaayee degaa, man bhaayegee parchaaiyaa
fir bhee milege chhup ke,manjil najar aayegee
do dil jaha milege, barsaat to ho jaayegee….
dil se dil milegaa, najare kahegee baate
dharkan badhegee dil ki, aati rahegee yaade
teri churiyo ki khan khanahat, kano ko dhun sunaayegee
do dil jaha milege,barsaat to ho jaayegee….
sachche hai dono dil ke,pakke bane pujari
too hai meri manjil,mai hoo teri aataari
sote huye swapne me,teri tasvir najar aayegee
do dil jaha milege,barsaat to ho jaayegee….
sangharsh khatm hogaa,ban jaayegee sari baat
sahmat ki hawa chalegee,le aaugaa mai barat
milane ke vakt par too,aane me sarmaayegee
do dil jaha milege,barsaat to ho jaayegee….
milege dono jab,aayegee subh ghari wah
baaho ki haar ka,pahanaayee maalaa jab
meri teri khushi ke,fir kaliyaa khil khilaayee
do dil jaha milege,barsaat to ho jaayegee….
Fri 13 Jun 2008
Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain, hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain. Teri dosti ke saaye mein zinda hain, hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.
Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar
Bazu-o-mein dum rakhta hun,
Dil mein gum rakhta hun,
Pata tha SMS ayega tera,
Isliye DISPRIN sang rakhta hun
Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.
Aey mere SMS mere dost ke pass jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jage to dhire se ‘Muskarana’,
Phir kehna “KANJUS” SMS karo!
Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain
Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha…..
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye
Ek ada aapke dil churane ki, ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki.
Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.