Sun 7 Jun 2009
samazate hai ,
aur unke gum main bhi to saath nibhate hai,
unki musibato ko khud zelate hai,
aur fir bhi muskurate hai,
fir bhi wo aisa kyon samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
………… ……… ……… …….
Unke ha main main ha milana hamari majbori hoti hai,
kyon ki koi galatfehmi na ho iske liye ye zaroori hoti hai,
wo apne aapko hi sabkuch samazati hai,
aur hame apni ungaliyon pe nachati hai,
hum nachate bhi hai,
fir bhi wo aisa kyon samazati hai ki.
sare mard ek jaise hote hai,
………… ……… ……… ………
Dhoka to wo bhi deti hai humko,
magar fir bhi badnam hume hi karti hai,
dil to wo bhi dukhati hai humara,
magar fir bhi ilzam humko hi deti hai,
sub gile shikave bhulkar hum unko manate hai,
fir bhi wo aisa kyon samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
………… ……… ……… ………
Muze to ab aisa lagata hai,
sari ladakiya yahi sochati hai,
hum maise bhi kio accha ho sakata hai,
kyo nahi wo apne dil se dekhati hai,
tumhare pyar ke khatir hum apna sab kuch lutate hai,
fir bhi wo aisa kyo samazati hai ki,
sare mard ek jaise hote hai,
Firozkhan