Tue 1 Jul 2008
Woh College ki Kashti…………
Yeh degree bhi lelo ye naukari bhi lelo
Bhale Chheen lo mujhse USA ka Visa
magar mujhko lauta do college ka canteen
vo chaay ka pani vo teeKha samosaa
college ki sabse purani nishaanee
vo chaayvaalaa jise saare kehte the… jaani
vo jaani ke hathon ki ‘cutting’ chaay meethee
vo chupkese journal mein bheji hui chitthi
vo padhte hi chiththi uska bhadakna
vo chehre ki laali vo aankhon ka gussaa…
kadi dhoop mein apne ghar se nikalnaa
vo project ki Khatir shahar bhar bhataknaa
vo lecture mein doston ki proxy lagaanaa
vo sir ko chidhanaa ,vo aeroplane udaanaa
vo submission ki raton ko jagnaa jagaanaa
vo orals ki kahani vo practical ka kissaa….
bimaari ka detention ke time bahanaa
vo doosron ke assignments ko apnaa banaanaa
vo seminar ke din paironka chhatpatanaa
vo workshop mein din raat pasinaa bahanaa
vo exam ke din ka bechain maahaul
par vo maa ka vishvas – Teacher ka Bharosaa…
college ki wo lambisi raatein
vo doston se canteen me pyaari si baatein
vo gathering ke din ka ladnaa Jhagadnaa
vo ladkiyon ka yuhin hamesha akadnaa
bhulaaye nahin bhool sakta hai koi
vo college, vo basen, vo shararatein vo javani…
vo kagaz ki kashti vo barish ka pani…