arz hai…
ae dum zara dheere dheere nikal
kahi bekhabar ko khabar na ho jaye
meri lambi umar ki dua maangta hai koi
kahi us dua ka asar na ho jaye…
Sat 29 Aug 2015
arz hai…
ae dum zara dheere dheere nikal
kahi bekhabar ko khabar na ho jaye
meri lambi umar ki dua maangta hai koi
kahi us dua ka asar na ho jaye…
Thu 27 Aug 2015
Tanhai…
Is shaam ki tanhai se,
is dard ki gehrai se,
dil kuch baat kar raha hai,
zara samjho in fizaon ki chubhan ko
aaj phir koi tumhe yaad kar raha hai….
Thu 27 Aug 2015
Meri kashti ko jiski talaash thi tu wo he kinara hoga …….
sapne me bhi na socha tha ki tu hamara hoga …….
khoobiyan toh tujme pehle bhi thi …….
lekin pata na tha ki tu itna pyaara hoga …….
Tere kandhe pe sar rakh ke rona mumkin na tha …….
par kisne socha tha ki tu he ek din mera sahara hoga …….
koi kisi ko itna yaad na karta hoga …….
maine jitni baar tujhe pukara hoga …….
Sat 22 Aug 2015
Abhi…
Kash Yaado ka matlab wo samajhte,
Kash khwabo ka matlab wo samajhte,
Nazar milti hai hazaar nazro se,
Kash hamari nazar ka matlab wo samajhte….
Sat 22 Aug 2015
Jaan humaari…
Yeh yaad hai tumhari ya yaadon mein tum ho…
yeh khwab hai tumhare ya khwabon mein tum ho…
hum nahi jaante..hume bas itna bata do…
hum jaan hai tumhaari ya humaari jaan tum ho…
ADVERTISEMENT
Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.