Bachpan ke din kitne ache hote the,
Tab dil nahi sirf khilone toota karte the,
Ab ek aanshu gire to saaha nahi jata,
Bachpan mai to dil bhar ke roya karte the…
February 2013
Thu 28 Feb 2013
Wed 27 Feb 2013
Kuch uljhe sawalo se darta hai dil,
Naa jane kyu tanhai mai bhkhadta hai dil,
Kisi ko pana koi badi baat nahi hai,
Par kisi ko khone se darta hai ye dil…
Tue 26 Feb 2013
Jab jab mein leta hun saans tu yaad aati hai,
Meri har ek saans me teri khushbu bas jaati hai,
Kaise kahoon tere bina mein zinda hun,
Kyunki har saans se pehle teri khusbu aati hai…
Mon 25 Feb 2013
Rishte tod deti hain galat femiyan,
Insaan ko tanha galat femiyan,
Na aane dena dil ke paas kabhi inko,
Kyunki dost ko dost se juda kar deti hai galat femiyan…
Sat 23 Feb 2013
Raat ka andhera kuch kehna chahta hai,
Ye chand chandni ke saath rehna chahta hai,
Hum to tanha hi khush thaa,
Magar pata nahi kyu ye dil kisi ke saath rehna chahta hai…
ADVERTISEMENT