Sapne Ki Tarah Aakar Chale Gaye
Gamo Ki Neend Sulakar Chale Gaye
Kis Bhool Ki Saza Di Humko??
Pehle Hasaya Aur Fir Rulakar Chale Gaye. Hum ko to muskranay ki Aadat si hai
Ansoon ko Chupanay ki Aadat si hai
Duwa na hi Dawa Kaam kerti Hai hum per..
Ab to Zakhm Khanay ki Aadat si Hai..
-Raj
July 2009
Wed 29 Jul 2009
Wed 29 Jul 2009
Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de
Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de
Tu har ghadi har waqt mere saath raha hai
Haan yeh jism kabhi door kabhi paas raha hai
Jo bhi gham hain yeh tere unhein tu mera pataa de
Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de
Mujhko toh tere chehre pe yeh ghum nahin janchta
Jaayiz nahin lagta mujhe ghum se tera rishta
Sun meri ghuzarish ise chehre se hataa se
Sun meri ghuzarish ise chehre se hataa se
Kuch is tarah teri palkein meri palkon se mila de
Aansoo tere saare meri palkon pe sajaa de.
Raj.
Always alone..
Wed 29 Jul 2009
Kis tarah rokta hon ashk apne,
kis tarah dil pe jabr karta hon,
aaj bhik karzar e hasti main,
jab tere sheher se guzarta hon,
Is qadar bhi nahen mujhay maloom,
kis mohallay main hai makan tera,
jane kin wadiyon main utra hai,
paikar e husn karwan tera,
kis se pooochon ga main khabar teri,
kon batlaye ga nishan tera,
Teri rusawion se darta hon,
Jab tere sheher se guzarta hon,
Tu rahi muddaton kareeb mere,
Kuch teri azmaton ka dar bhi tha,
kuch khayalat thay ajeeb mere,
Akhir e kar woh ghari aai,
tu mujhay chor kar chali bhi gai,
ab main kyon tujhko yaar karta hon
jab tere sheher se guzarta hon,
Go zamana teri mohabbat ka,
aik bhooli hui kahani hai,
tere koochay main umr bhar na gae,
sari duniya ki khaak chani hai,
kis tamanna se tujhko chaha hai
kis mohabbat se haar mani hai
apni kismat pe naaz karta hon,
jab tere sheher se guzarta hon,
Wed 29 Jul 2009
Aadaab Dosto,
Ek arse ke baad kuchh post kar raha hu. Ummeed hai aapko pasand aayega.
Aaj mai aapko ek taaza-tareen sher pesh karne ja raha hu jise maine abhi
kuchh dino pahle hi likha hai. Us din is mausam ki pahli barish ho rahi
thi. Aise me dil me kuchh puraani yaade taaza hui. Kuchh soye hue dard
jinhe dil ne badi koshisho ke baad bhula diya tha, wo phir se jaag gaye.
Aise me bhala mere andar ka shayar kaise chup rah sakta tha.
Arz kiya hai-
Aye Beraham, Teri Iss Bewajah Aazmaaish Me
Kahi Mar Na Jaau Tujhko Paane Ki Khwahish Me
Chand Bundo Ke Liye Na Tarsa Apne ‘Arsh’ Ko
Teri Muhabbat Ki Musalasal Si Baarish Me
Dosto, gaur kijiyega, is sher ki khubsurati ye hai, ki ye sher apne
mehboob ke liye bhi kaha ja sakta hai aur khuda ke liye bhi! Ise baare
me aur padhne ke liye ya isi sher ko hindi me padhne ke liye kripaya
mere blog ko visit kare.
-Yogesh ‘Arsh’
Wed 29 Jul 2009
Doori Ho To ahsaas hota hai,
Dost ke bina jivan kitna udas hota hai
Umar ho apki Sitaron jitani lambi,
Aisa dost kahan kisi ke pass hota hai
Aankhen apki ho, par ansu mere,
Zindagi apki ho, par sanse meri,
Dil apka ho, par dhadkan meri,
Zindagi ke ahkri modh par duaa hogi yehi,
Kafan apka ho, aur maut meri……
Tum dost ho mere sada k liye,
Main zinda hoon tumhaari wafa k liye,
Kar lena laakhon shikwa mujhse magar,
Na hona khafa khuda k liye.
kya aap mujhse dosti karoge?????
—
Dharmendra Singh
ADVERTISEMENT