August 2008


Kal jo apne the
Woh begane nazar ate hain
Dil badalte hain
To chere bhi badal jate hain

Tum bhi wohi ho
Yeh dil bhi wohi hay
Chera sajaya to kiyaa
Daman churaya to kiya

Cheray the tum ne
Tarane jo dil k
Gaati hay ab bhi fazaa
Deti hay tum ko sada

Zehar bhara jaam hay yeh
Moun se na lagana
Duniya hay bewafa
Yeh duniya hay bewafa

Pyaar bhi dhokha
Mohabbat bhi dhokha
Dhokha hay chahat yahan
Sajti hay surat yahan

Apne bhi joothe
Yeh sapne bhi joothe
Joothi hay rahat yahan
Joothi haqeqat yahan

Khuwaab sabhi tuut gaye
Arye aansu kiya bahana

Happy Independence Day

Lets take decision,
To value our nation,

Shall not forget those sacrifices
Who gave us the freedom..

Now its our turn
To have a reformation..
Happy Independence Day

Zindagi
Zindagi socho aur musibat ka samandar hai.
Insaan zindagi ke aadhe gam galat ummide bandh kar khud kharidta hai.
Zindagi aisa Pendolam hai jo gamo aur khushiyo ke bich jhulta hai.
Mohabbat ke bagair bekar hai Zindagi aur Bewajeh hai.
Jab tak Zindagi baaki hai Mout se ladte raho, aur jab Maut aaye to Zindagi se izzazat mang lo.
Zindagi sirf jine ka naam nahi, zindagi naam hai mohabbat ka, ibaadat ka aur insaniyat ki khidmat karne ka.

Maut
Maut aman aur sukun ka samndar hai.
Maut saare gamo ka ilaaj hai.
Maut itni taklif deh nahi hoti jitni Zindagi.
Maut ko hamesha yaad rakho magar uski aarzo na karo.
Buzdil insaan Maut aane se pehele kai baar marta hai.
Mayusi se badkar duniya mai koi chij buri nahi hai, mayusi Maut ka dusra naam hai.

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi…….

Boss:

Arz kiya hai………

Office may Kaam hote hain…
Galtiyon ka sama hota hai….
Aise mausam mein hi to PERFORMANCE jawan hota hai….
Dil ki khunnas BOSS jabaan se nahi kehte…
Ye fasana to appraisal mein bayan hota hai…. J J J ……

Employee’s reply…

Arz kiya hai………
Appraisal hote hain…
Disappointment ka sama hota hai…
Aise mausam mein hi to Attrition jawan hota hai….
Dil ki khunnas HUM jabaan se nahi kehte…
Ye fasana to resignation se bayan hota hai….

ADVERTISEMENT

Page 1 of 21

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.