Love Shayari SMS

Ashiq ne pucha khuda se
Tune dunia ko Pyaar ka dushman kyu bana diya..
Khuda hansa aur bola
Ashiqo ne kaun sa mere sath achcha kiya hai…
Unhone to Yaar ko hi khuda bana diya…
`
Pyaar ki aanch se to patthar bhi pighal jata hai,
Sache dil se sath de to naseeb bhi badal jata hai,
Pyaar ki rahon par mil jaye sacha hamsafar,
To kitna bhi gira hua insaan bhi sambhal jata hai…
`
Kaanto ke badle phool kya doge
Aansoon ke badle khushi kya doge
Hum chahate aap se umar bhar ka saath
Hamare iss sawal ka jawab kya doge…