Hindi SMS Shayari


Shayari

Teri Yaad Bhi Kamal Karti Hai
Kesey Kesey Humse Sawal Karti Hai
Ek Pal Ko Tanha Nhi Hone Deti Mujhe
Ye Mera Kitna Khayal Karti Hai..!…
`
Kisi Ne Kaha Tha Kisi Se Kuch Na Kehna
Lage Chot Dil Pe To Khamosh Rehna
Jahan Chot Khana Wahin Muskurana..!
Mgar Muskurana S Ada C K Ro De Zamana…
`
Salon Baad Najane Kiya Sama Hoga
Hum Sub Doston Me Se Najane Kon Kahan Hoga
Phir Milna Hua To Milenge Khawabo Mein
Jesey Sookhe Gulab Miltey Hen Kitbon Main…
`
Hum To Masroof Thay Apni Tanhaiyon Mein
Muddatton Baad Kisi Ne Pukara Hai
Ek Pal To Ham Ruk Kar Sochne Lage
Kya Yehi Naam Hamara Hai…
`
Safar Mohabbt Ka Dushwar Kitna Hai
Magar Dekhna Hai K Koi Wafadar Kitna Hai
Yehi Soch Ke Usey Kabhi Manga Nahi Mene
Usey Prakhna He K Wo Mera Talabgaar Kitna Hai!…
`
Lafzon Par Baat Aye To Kya Karon
Koi Itna Yaad Aye To Kya Karon
Dil Karta Hai K Us Ko Aik Lamhay K Liye Dekh Lon
Par Wo Lamha Hi Na Aye To Kya Karon…
`
Ghar Se Bahir Wo Neqab Mai Nikli
Sari Gali Uski Talash Mai Nikli
Inkaar Karti Thi Wo Hamari Mohabt Se
Aur Hamari Hi Tasveer Unki Kitaab Se Nikli…
`
Darguzar Uss Ki Her Jafa Kardi
Uss K Haq Main Aaj Phir Dua Kardi
Aik Lamhai Main Kho Diya Uss Ko
Jis Ko Pane Main Inteha Kardi…

Ab Aur Manzil Pane Ki Hasrat Nahi
Kisi Ki Yaad Me Mar Jane Ki Fitrat Nahi
Aap Jese Dost Jabse Mile
Kisi Aur Ko Dost Banane Ki Jarurat Nahi
`
Kuch dost palbhar me bhula diye jate hai
kuch dost pal-pal yad aate hai
hum apse yahi puchna chahte hai
k dosto ki is kataar me hum kaha aate hai
`
KHUSHI se dil ko aabad karna
GAM ko dil se aazad karna
Bas itni gujaarish hai aapse ki
ho sake to din mein ek baar yaad jaroor karna
`
Zindagi zakhmo se bhari hai,
waqt ko marham banana seekh lo.
Harna toh hai hi maut ke hatho ek din,
Filhaal zindagi ko jeena seekh lo
`
Har yado me usi ki yad rehti hai.
Meri ankho ko usi ki talash rhti hai.
kuch tum b dua kro yaro.
Suna hai dosto ki dua me farishto ki fariyad hoti hai…
`
Khusiyo ka ek sansaar leke ayenge,
Patjhar mein bhi bhar leke ayenge,
Jab bhi pukarenge aap pyaar se,
Zindgi se saansen udhar leke ayenge..
`
Thoda socha hai humne …
thoda jaana hai humne…
Mushkil se magar pehchana hai humne…
Koi aap jaisa na tha na hoga…
isliye dost aapko mana hai humne
`
Lamhe ye Suhane saath ho na ho,
Kal me aaj jaisi koi baat ho na ho,
Aapki dosti hamesha is DIL me rahegi,
Chahe kabhi mulakat ho na ho.
`
Itni dosti naa karo ki bigad jaye hum.
thoda danta bhi karo ki sudhar jaye hum.
ho jaye gar humse koi khata to ho jana khafa,
magar itna bhi nahi k mar hi jaye hum.
`
Bikhri ankhon se moti hum piro na sake teri yaad me sari raat so na sake
beh na jaye ansuon me tasvir ye soch kar
hum ro na sake
`
Gum ki aahat bhi na aaye tere dar par,
pyar ka samunder ka tu bhi ek kinara ho,
kabhi bhool se jo tapke teri aankh se moti,
thame wohi jo tujhe sab se pyara ho !!!
`
Bhulana tumhe na asaan hoga jo bhule tumhe wo nadan hoga aap to baste ho ruh me hamari, bus aap hame na bhulana ye aapka ehsaan hoga.
`
aaj door se hi koi salaam kar gaya,
apni yadon ka gulaam kar gaya ,
apni zingagi girvi rakhi thi jiske paas,
aaj wohi hume nilaam kar gaye……..

Nasha jaruri hai zindagi k liye,par sirf sharab hi nahi hai bekhudi k liye,
kisi ki mast nigahon me doob ja ae dost, bada hasi samundar hai khudkushi ke liye.
`
Na kashti hai na kinara hai koi, na manzil na sahara hai koi,
na ansu hai na kushi ka ishara hai koi, par aap hai to lagta hai hamara hai koi.
`
Bhula na sako ge mujhe bhool kar tum, mai aksar tumhe yaad aata rahunga.
Kabhi khwab ban kar kabhi yaad ban kar, mai ninde tumhari churata rahunga.
`
Dekho aawaz dekar, paas hamme paoge, aaoge tanha par tanha na jaoge,
dur rahkar bhi tumhi par hai nazar meri, hathon se tham lenge jab bhi thokar khaoge..
`
Pucho na us kagaz se jis pe hum dil ke bayan likhte hai.
Tanhayi me beeti baate tamam likhte hai.
Woh Kalam bhi diwani ho gayi jis se hum AAP ka Naam likhte hai..
`
Wo kahin b rahen sar pe uske ilzaam to hai,uske hathon ki lakiron me mera naam to hai,
wo mujhe apna banaye ya na banaye zamane me mere naam se woh badnam to hai..
`
Na Misaal milegi Tere Husn ke iss Kayanat me, tu itni kashish bhari Khoobsorti kahanse Le aye hai
Labo pe Maikhane, Ankhome Paymane, khuda Jane Aaj kis kiski Shammat Aye Hai..
`
Dekh k logo ko,socha ishq hum b karle, phir bewafao ko dekh socha, thoda sabrr karle
jaan gawante dekh is daldal me kaio ko, socha patli gali se hum nikal le.
`
Aap itna yaad na karo hum ko, kahi hum chheenko se pareshan na ho jaye.
Yaad to hum bhi aapko bahut karte hain, Par darte hain, ke kahi aapko zukaam na ho jaye..
`
Apne dilki bat unse keh nahi sakte,Bin kahe bhi ji nahi sakte’
Ae Khuda aisi takdir bana,wo humse khud akar kahe’HUM’ Apk bina Reh nahi sakte…
`
Tanhayi me beeti baate tamam likhte hai.
Woh Kalam bhi diwani ho gayi jis se hum AAP ka Naam likhte hai..

(1)
Mohabbat mujhe thi usi se..Sanam.
Yadaon me uski yeh Dil tadpta raha ..
Maut bhi meri Chahat ko rok na saki..
Kabr me bhi yeh Dil Dhadkta raha.

(2)
Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi achcha sa phool hota to mali se mangvata,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…

(3)
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya,
Aapki Muskurahat ne hame behosh kar diya,
Hum Hosh me aane hi waale the,
ki Aapne fir se muskura diya.

(4)
Bina dard ke ansu bahaye nahi jate,
Bina pyar ke rishte nibhaye nahi jate,
E dost 1 baat yaad rakhna bina DIL diye
DIL paye bhi nahi jate.

(5)
Mast Nazron se dekh lenaa tha
Agar tamanna thi aazmane ki,
Hum to behosh youn hi ho jaate
Kya zaroorat thi muskurane ki.

(6)
Badi Muddat se chaha hai tujhe,
bade Duaon se paya hai tujhe,
tujhe bhulane ki socho bhi to kaise,
Kismat ki Lakiron se churaya hai tujhe!

(7)
ek nazar teri kaher dhati hai,
ek teri chal lehrati hai,
dua dete hain hum jab tu aati jati hai,
girten hain log aur tu hasti jati hai…

(8)
Zindagi ek phool hai aur mohabbat us ka shehed
Pyar Ek Dariya Hai, Aur Mehboob uski sarhad.

(9)
Dil Ko Manana Gar Hota Aasaan,
Na Karta Kisi Ko Yun Ye Pareshaan,
Tanha Na Rahta Bhari Mehfil Me,
Na Hoti Woh Halat Jo Ho Na Sake Bayaan.

(10)
Tapish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta Hai Qusur Aankhon Ka Hota Hai, Tarapna Dil Ko Parta Hai.

(11)
Koi aankhon aankhon se baat kar leta hai,
Koi aankhon aankhon mein mulakat kar leta hai,
Mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar bhi sawal kar leta hai

(12)
Kismet se apni sabko shikayat kyu hai,
Jo nahi mil sakta usi se mohabbat kyu hai,
Kitne khade hai raho pe,
Phir bhi dil ko usi ki chahat kyu hai.

(13)
Chand ki raton mein sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai,
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare

(14)
Khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi jati hai,
Kadam chun chun kar rakhti ho…..
Phir bhi kamar balkha hi jaati hai…..

(15)
Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khyal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte

(16)
Jamane se nahi to tanhai se darta hu,
Pyar se nahi to ruswai se darta hu,
Milne ki umang bahot hoti hai dil me,
Lekin milne ke baad teri judai se darta hu

(17)
Ham tere dil mein rahenge ek yaad bankar,
Tere lab pa khilenge muskaan bankar,
Kabhi hamein apne se juda na samajhna,
Hum tere saath challenge aasmaan bankar

(18)
Kuch nasha to aapki baat ka hai
Kuch nasha to dheemi barsaat ka hai
Hame aap yuhi sharabi na kahiye,
Yeh dil par asar to aapse mulaqat ka hai

(19)
Dil se tumhe kaise mita de,
Hum tumhe kaise bhoola de.
Ji to chahata hai duniya chor de,
Ya phir judai dene wale in duniya walo ko phod de.

(20)
Yeh mat pucho tum bin hum kya kya khote rahe,
Tumhari yaadon mein hum roz kitne rote rahe,
Na din gujre hai na raatein,
Bas kuch bechain se hum hote rahe!

(21)
Tumhari lovely aankho ne,
Hame aise attract kiya,
Ke sabko neglect karke,
Tumhe hi select kiya.

(22)
Na khuda dil banata na kisise pyar hota,
Na kisiki yaad ati na kisika intazar hota.
Dil diya hai ise sambhal ke rakhna,
Shishe se bana hai pathar se dur rakhna!

(23)
Agar hum na hote to ghazal kaun kehta,
Aap ke chehre ko kamal ko kehta,
Yeh to karishma hai mohabbat ka,
Varna pathro ko tajmahal kaun kehta

(24)
Chaho to dil se hamko mitta dena
Chaho to humko bhula dena
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari
To rona nahi Bus muskura dena…

(25)
Tarasti nazaron ki pyas ho tum,
Tadapte dil ki aas ho tum,
Bujti zindagi ki sas ho tum,
Phir kaise na kahu?.. kuch khas ho tum.

(26)
Aankhon Me Armaan Diya Karte Hai,
Hum Sabki Neend Chura Liya Karte Hai,
Ab Se Jab Jab Aapki Palkay Jhapkeygi…..
samaj Lena Tab Tab Hum Aapko Yaad kiya karte Hai…..!

(27)
Sabne kaha ishq dard hai,
Humne kaha ye dard Kabul hai,
Sabne kaha is dard ke saath ji nahi paoge,
Humne kaha is dard ke saath marna Kabul hai

(28)
Kaash tum mujhe ek khat likh dete,
mujhme kya kya thi kami yeh to bata dete,
tadapte dil se mere tumne nafrat kyu ki,
nafrat ki hi mujhe koi vajah to bata dete.

(29)
Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.

(30)
Ishq wale ankho ki baat samajh lete hai,
Sapno me mil jaye to mulakat samajh lete hai,
rota to aasma bhi hai Pyaar k liye,
par log use barsat samajh lete hai.

(31)
Chehre pe haseen chaa jati hai
Aankhon main suroor aaa jata hai
Jab tum mujhe apna kahte ho
Apne pe ghuroor aa jata hai

(32)
Khoob aati hai jab
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataao.n mai.n,
Teri soorat ubhar K aati hai

(33)
Taare aasman me hi chamkte hai,
Badal itne dur hai, phir bhi baraste hai,
Hum bhi kitne ajib hai,Tum Dil me rehte ho,
aur hum tumse milne ko taraste hai

(34)
Aasman se uncha koi nahi,
Sagar se gahra koi nahi,
Yun to mujhko sabhi Pyare hai,
par aapse Pyara koi nahi

(35)
Aaj us khuda ki shararat samajh me aai,
is dharti par aapki maujudgi samajh aai,
Aapko is dharti par bhejna us khuda ka bahana tha,
Kyo ki hamare lie aapko aana hi tha.

(36)
Kismat me jiski aap, use jindgi se kya chaahiye,
Dhadkan me jinki aap, use dunia se kya chaahiye,
Hum to jite hai aap k liye, warna in saanson se kya chaahiye.

(37)
Kash Dil ki awaz me itna asar ho jay,
Hum apko yaad karen aur apko khabar ho jay,
Aaj kuda se itni hi dua hai, aap jo bhi chaho vo haqiqat ho jay.

(38)
Kushbu tere Pyar ki mujhe Mahka jati hai,
teri har baat mujhe bahka jati hai,
Saansen to bahut der leti hai aane jane me,
Har saans k pahle mujhe teri yaad aati hai.

(39)
Paani ko patthar na maro use bhi koi pita hai,
Jina hai to muskurakar jiyo, tumhe dekhkar koi aur bhi jita hai.

(40)
Kisi k Dhadkte Dil k pichhe koi baat hote hai,
Kisi k udas Dil k piche koi yaad hoti hai,
Aap ko pata ho ya na ho,
aap k khushi k liye kahin roz fariyad hoti hai.

(41)
jaan hai hume jaan se pyari,
Jaan k liye chhod du dunia sari
Jaan k liye chhod du rasme sari,
ab tumse kya chupana,
tum hi to ho jaan hamari.

(42)
Tu kya jane kya hai tanhai,
is tute hue Dil se puch kya hai judai,
Bewfai ka ilzam na de zalim,
is waqt se puch kis waqt teri yaad nahi aai.

(43)
Yuhin hi sapno se Dil ko lagaya karo,
Kisi k khwaabon me aya jaya karo,
Jab bhi Dil kahe ki koi tumhe bhi manaye,
Bas hame yaad kar k ruth jaya karo.

(44)
Maine khuda se ek dua mangi,
dua me apni maut mangi,
khuda ne kaha maut to tujhe de dun,
par uska kya jisne har dua me teri jindgi mangi.

(45)
Karte nahi izhar
phir kyun karte ho tum pyar?
nazron se bate bahut hui
ab lab se karo ikrar…

(46)
Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon

(47)
Jaam pe jaam peene se kya fayeda,
Raat guzri to utar jayegi,
Kisi ki aankhon se peeyo khuda ki kasam,
Umr saari nashe mein guzar jayegi.

(48)
Woh Zindagi hi kya jisme Mohabbat nahi,
Woh Mohabbat hi kya jisme Yaadein nahi,
Woh Yaadein kya jisme Tum nahi,
Aur woh Tum hi kya jiske saath Hum nahi.

(49)
Humne socha tha ki shayad, hum hi chahte hai tumko,
par tumhe chahne wala to kafila nikla,
Dil ne kaha shikayat kar khuda se,
par khuda bhi tera chahne wala nikla.

(50)
Jab jab aapse milne ki umeed nazar aayi…
mere paav mein zanjir nazar aayi..
gir pade aansu aankh se…
aur har ek aansu mein aapki taswir nazar aayi.

(51)
Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..

(52)
Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.

(53)
Zindagi jaise ek saza si ho gaye hai,
gam ke sagar me is kadar kho gayi hai,
tum aajao wapis yeh gujarish hai meri….
shayaad mujhe tumari aadat si hogayi hai.

(54)
Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..

(55)
Sham dhali, raat aayi Dil dhadka – Fir Tumhari yaad aayi,
Aankho ne mehsus kiya us hawa ko – jo tumhe chukar hamare pass aayi.

(56)
Yaad mein teri aanhe bharta hai koi,
har saans k saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai…..
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!

(57)
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bohat chahat hai……..
par milne k baad judaai se darte hain

(58)
Ehsas Bahut Hoga Jab Chhor K Jaenge,
Roenge Bahut Magar Aansu Nahi Aaenge,
Jab Sath Na De Koi To Awaz Hume Dena
Aasman Per Bhi Honge To Laut K Aaenge.

(59)
kya mangu khuda se tumhe pane k baad.
kiska karu intzar zindgi me tere aane k baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log…..
mujhe maloom hua tumhe apna banane k baad.

(60)
Dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna meri wafaon pe…..
Dil me basa k hum kisi ko Bhulate nahi..

(51)
Dil ke rishtey bhi ajeeb hote hai..
duur reh kar bhi kareeb hote hai…
jo log aapko roz dekhte hai..
woh log kitne khushnaseeb hote hai..

(52)
Chehre pe haseen chha jati hai,
Aankhon main suroor aaa jata hai,
Jab tum mujhe apna kahte ho,
Apne pe ghuroor aa jata hai.

(53)
Zindagi jaise ek saza si ho gaye hai,
gam ke sagar me is kadar kho gayi hai,
tum aajao wapis yeh gujarish hai meri….
shayaad mujhe tumari aadat si hogayi hai.

(54)
Pani ka ek katra aankh se gira abhi abhi..
kya tum ne mujko yaad kiya abhi abhi..
tujh se mile zamana hua magar…
yun laga koi mujse mil k gaya abhi abhi..

(55)
Sham dhali, raat aayi Dil dhadka – Fir Tumhari yaad aayi,
Aankho ne mehsus kiya us hawa ko – jo tumhe chukar hamare pass aayi.

(56)
Yaad mein teri aanhe bharta hai koi,
har saans k saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai…..
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi….!

(57)
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bohat chahat hai……..
par milne k baad judaai se darte hain

(58)
Ehsas Bahut Hoga Jab Chhor K Jaenge,
Roenge Bahut Magar Aansu Nahi Aaenge,
Jab Sath Na De Koi To Awaz Hume Dena
Aasman Per Bhi Honge To Laut K Aaenge.

(59)
kya mangu khuda se tumhe pane k baad.
kiska karu intzar zindgi me tere aane k baad.
kyun pyar me jaan luta deta hai log…..
mujhe maloom hua tumhe apna banane k baad.

(60)
Dil todna hamari aadat nahi,
Dil hum kisi ka dukhate nahi,
Bharosa rakhna meri wafaon pe…..
Dil me basa k hum kisi ko Bhulate nahi..

(61)
Band hothon se kuchh na kahkar,
ankhon se pyar jatate ho,
Jab bhi aate ho,
hamen hamse hi chura le jate ho.

(62)
Hame itna pyar mat karna ki,
duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana…..ki
hum duniya ko chhodne k liye majboor ho jaye.

(63)
Kuch Nasha Aapki Baat ka hai,
Kuch Nasha Dhimi Barsat ka hai,
Hame aap yuhi Sharabi mat Kahiye,
ye Dil par asar aapse pahali mulakat ka hai…

(64)
Nigahen aapki pehchan hai hamari,
Muskarahat aapki shan hai hamari,
Karna hifazat tum apni…..
Kyounki sanse tumhaari jaan hain hamari…

(65)
Suraj pass ho na ho, Roshni aaspas rehti hai,
Chand paas ho na ho, Chandini aaspas rehti hai,
Waise hi aap pas ho na ho,
aapki Yaadein hamesha paas rehti hai…..!

(67)
koi gila na koi shikwa rahe aapse
ye aarzoo hai ek silsila bana rahe aap se
bas ek baat ki umeed hai aapse
khafa na hona agar hum khafa rahain aap se.

(68)
Mohabbat karo tu dhoka na dena,
Pyar ko ansuo ka tohfa na dena,
Dil se Roe koi aapki yaad mein…..
Aisa kisi ko moqa na dena.

(69)
Ankho me armaan diya karte hai hum.
Sabki neend chura liya karte hai hum.
Ab se jab jab aapki palke jhaphkengi.
Samajh lena tab tab aapko yaad kiya karte hai hum.

(70)
Ga saku apka nagma wo saaz kaha se lau,
suna Saku Kuch aapko, wo andaz kaha se Lau,
Yu to Chaand taro ki tarif karna aasan hai,,
Kar saku aapki tarif wo alfaz kaha se lau…..!

(71)
Ae zindagi yu mujhse daga na kar,
Mai zinda rahu ye dua na kar….
Koi chhuta hai tujhe to hoti hai zalan……
Ae hawa tu bhi use chhuaa na kar….

(72)
Log kehte hain ki ishq itna mat karo,
ki hussan sar pe sawar ho jaaye…..!
hum kehte hai ki ishq itna karo,
ki patthar Dil ko bhi tumse pyaar ho jaye..!

(73)
Talaash Karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarah tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega…..
Magar ankhein hamari kahan se layega…..!

(74)
Raat ko raat ka tohfa nahi dete,
dil ko jazbaat ka tohfa nahi dete,
hum tu tumhe chand bhe de dete…..
magar Chand ko Chand ka tohfa nahi dete…..!

(75)
Tamana Khuch Bhi Nahin
Ek Tere Deedar K bina,
Zindagi Adhoori Hai Meri
Tere Pyar K bina.

(76)
Bada arman tha tere sang jeewan bitane ka,
shikwa hai to bas tere khamosh reh jane ka,
Deewangi is se bad kar kya hogi,
aaj bhi hume intizar hai tere aane ka.

(77)
Hum aap ko kabhi khone nahi denge,
juda hona chaha to bhi hone nahi denge,
Chandni raton me ayegi meri yaad…..
meri yaad k wo pal aap ko sone nahi denge.

(78)
Hum ne her shaam chirago se saja rakhi hai,
par shart hawaon se laga rakhi hai,
na jane kis gali se aa jae mera sanam…..
hum ne her gali phuulon se saja rakhi hai.

(79)
Hasrat hai sirf tumhe pane ki,
aur koi khawahish nahi is Dewane ki,
shikwa mujhe tumse nahi khuda se hai…..
kya zarurat thi tumhe itna khuubsurat banane ki.

(80)
khuda ne jab tumhe banaya hoga,
hajaro saal dekha hoga, lakho saal nihara hoga,
phir usne socha hoga tumhe swarg main rakh lu…..
lekin use mera khayal aaya hoga…..!

(81)
Nazro se shuru hota hai Pyaar,
do Dilo me ek sath panapta hai Pyaar,
Jo Mumkin nahi hai karna is duniya me,
Aise namumkin kaam bhi kar dikhata hai Pyaar.

(82)
Maut Pe Bhi Mujhe Yakeen Hai
Tum Per Bhi Aitabar Hai,
Dekhna Hai Pehle Kaun Aata Hai
Humein Dono Ka Intizar Hai.

(83)
Tum hansti ho mujhe hasane k liye,
Tum roti ho mujhe rulane k liye,
Tum ek bar ruuthkar to dekho…..
Mar bhi Jaunga tumhein manane k liye.

(84)
Yaad karte hain tumhein tanhayi mein,
Dil duuba hai gamo ki gehrayi mein,
humein mat dhundna dunia ki bheer mein,
hum Milenge tumhein tumhari parchayi mein.

(85)
Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai,
Meri aankh ko tera intizar aaj bhi hai,
Tu aayegi ye umeed hai mujhe…..
Tujh ko pane k liye ye tera deewana aaj bhi hai.

(86)
Ishq karna asaan nahin hota,
Duriyan badne se pyar kam nahi hota,
Waqt bewaqt ho jati hain aankhein nam,
Kyun ki yaadon ka koi mausam nahin hota.

(87)
Phuulo ki tarah hansti raho,
Kaliyoun ki tarah muskurati raho,
Khuda se sirf itna mangta hoon…..
ki tum mujhe hamesha yaad aati raho.

(88)
Dunia jise neend kehti hai,
jane wo kya cheez hai,
Aankhe to hum bhi band karte hai….
par wo aap se milne ki tarkeeb hai.

(89)
Mere chehare ki hansi ho tum,
Mere Dil ki har khushi ho tum,
Mere hontho ki mushkan ho tum,
Dhadakta hai mera ye Dil jishke liye…..
woh Meri Jaan tum ho tum.

(90)
Koi sham aati hai tumhari yaad lekar,
Koi sham jati hai tumari yaad dekar,
Mujhe tho us sham ka intezar hai,,,,,
jo aaye tume saath lekar.

(91)
Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko
Mere Sanam Tumne Dhadakna Sikha Diya
Jab Se Mila Hai Tera Pyaar Dil Ko
Gum Me Bhi Muskurana Sikha Diya.

(92)

tere chehre ne kuch aisa gazab dhaya hai,
ki tere Husn se aaj chand bhi sharmaya hai,
maang lete tujhe aaj uss khuda se,
par woh bhi aaj tera gulam nazar aaya hai!

(93)
Wo din din nahi, wo raat raat nahi,
wo pal pal nahi, jis pal teri Yaad nahi,
teri yadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.

(94)
Na gujarna eid k din kisi masjid k pas se,
kahin log chand samajh kar roja na tod de,
hokar khafa khuda tumse kahi…..
Chand jaise chehre banana na chhor de.

(95)
Tanha khud ko kabhi mat hone dena,
apno ko kabhi rone mat dena,
aap bahut khaas hain hamare liye…..
Is khayaal ko apne se kabhi juda hone mat dena…..!

(96)
Hamari har khata pe naraz na hona,
apni pyari C muskurahat ko kabhi na khona,
Sukun milata hain dekh kar aapaki muskurahat,
hume maut bhi aaye to bhi mat rona.

(97)
Lab khamosh hain aankhon se baat hoti hai,
Aise hi Mohabbat ki shuruwat hoti hai…..
Tere hi khayalon me khoye rehte hai hum,
Pata nahi kab din kab raat hoti hai….

(98)
Aankhon me rehne wale ko yaad nahi karte,
Dil me rehne wale ki baat nahi karte,
Hamari to RUUH me bas gaye ho aap,
Tabhi to milne ki FARIYAD nahi karte…..!

(99)
Aankhon ki gehraayi ko samajh nahi paate,
Hoth he magar kuch hum keh nahi paate,
Apni Dil ki baat kis tarah kahe tumse,
Tum wahi ho jinke bina hum reh nahi paate.

(100)
Mehakti baharo me tumhe Phuulon ki tarah dekha hai,
Baraste Sawan me tumhe Buundo ki tarah dekha hai,
saja rakhe hai jo khwab apni zindagi ki raho me,
un raho me tumhe apni Dulhan bane dekha hai.

Romantic Indian Shayaris

Mere pyaar ka hisaab jo lagaoge,
To mere pyar ko behisaab paoge,
Paani ke bulbule sa hai mera pyar,
Zara si thes lagi to dhundte rehjaoge.
`
Yoon to zindagi ki rahoon main log hazar milengay
Hum kya hum say achy hazar milengay
Lekin bhool na jana bhool se bhi hamain
Kyoon k hum kahan apko bar bar milengay..
`
Dur na jaaya karo dil tadap jaata hai
Tere hi khayalon me din guzar jaata hai
Aaj puchha hai dil ne ek sawal tumse
Kya dur rehker tumko bhi hamara khayal ata hai..
`
Khamosh raat ke pehlu me sitare nahi hote,
In rukhi aankho me rangin nazare na hote.
Hum bhi na karte parwah,
Agar aap itne pyare na hote…
`
Badalna aata nahi humko mousmo ki tarah
Har ek roop main tera intezaar karte hain
Na tum samet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.
`
Ajeeb si kashish hai aap me
Ki hum aap k khayalon me khoye rehte hai…
Ye soch kar k aap khawabo me aao ge
Hum din me bhi soya karte hai.
`
Kabhi kabhi in ankho main nami se hoti hai
Kabhi kabhi in honto pe hansi si hoti hai
Ae dost woh tumhi ho jisse meri zindgi, zindgi si hoti hai…
`
Hum aap ko kabhi khoney nahin denge,
Juda hona chaha to bhi hone nahin denge,
Chandni raton mein aye gi meri yaad,
Meri yaad ke woh pal aap ko sone nahin denge.
`
Na tasveer hai tumahari jo didar kiya jaye,
Na tum pass ho jo pyar kiya jaye
Yeh kaun sa dard diya hai aap ne,
Na kuch kaha jaye,na tum bin raha jaye..
`
Har ahat ehesas hamara dilayegi
Har hawa kissa hamara sunayegi
Hum itni yaadein bhar denge
Na chahate hue bhi aapko yaad humari aayegi…

Page 4 of 15« First...23456...Last »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.