Hindi SMS Shayari


Har kadam pe dhoke milte rahege
par fiza me phool phir bhi khilte rahege
yeh haqeeqat hai log aksar badal jate hai
par phir bhi anjaano se dil milte rehte hai..!!

main shayar to nahi
par aye hasino
jab se tumko dekha mujko shyari aaaaaaaaaaaa gai
kya aap ko bhi aaisa lagta hai ya nahi
answer ke liye mail karte raho friends

Sapne to Phir Bhi Sapne Hote Hai,
Apne to Phir Bhi Apne Hote Hai,
Tum Chaho to Sapno Ko Apna Bana Lena
Magar Kabhi Apno ko Sapna Na Bana Dena.

Tum khafa hogaye to koi khushi na rahegi,
Tere bina chirago me roshni na rahegi;
Kya kahe kya guzregi dil par,
Zinda to rahenge par zindagi na rahegi.
============ ========= ========= ========= ======
Hamare zakhmo ki vajhah bhi wo hai..
Hamare zakhmo ki Dava bhi wo hai…
Wo namak zakmo pe lagaye to kya hua…
Mohabbat karne ki wazah bhi wo hai…
============ ========= ========= ========= ======
Chiragon ko aur tej kar do
Kyunki roshni bahut kam hai
Aur main tamaam umar tera intezaar kar longa
Phir bhi yeh gam rehega ki “Zindagi kam hai”
============ ========= ========= ========= ======
Hamara har lamha chura liya apne ,
Aankhon ko i chand dikha diya apne ,
Hame zindagi to di kisi aur NE
Par itna pyar dekar jeena sikha diya apne
============ ========= ========= ========= ======
Kaash! Seerat Aap ki Itni Pyari na hoti
Kaash! App se Mulaqat Hamari na hoti
Kaash! Tumhein Sapno hi mai dekh lete
Aaj Mulaqat ko itni Be-Qarari na hoti

Aksar mere dil may ek saawal uthta hain
Kuch soochon to us ka hi khayal aata hain,

Jo na chaahon ke aayae us ka khayal
Zehen aur bhi us shakhs main khota hain

Main kaisay sumjhon ke yeh khayal kya hain,
Zehen mera us shakhs main khoya rehta hain,

Log kehtain hain yeh kya hua hai tumhain,
Main kehta houn main nay paa liya hai khud ko,

Dunya hai sar-e-bazar tijarat main garq
Aur hum hain apnay khuda main garq,

Page 14 of 15« First«...1112131415

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.