Hindi SMS Poems


Hindi SMS Poems

Is raat ki subah kabhi toh hogi
Dil main hai yeh aas jagi
Hamari bhi kismat ka chamkega sitara
Badalelose nikelega suraj sunhera

Is raat ki subah kabhi toh hogi
Dil main hai yeh aas jagi
Patzhad ka yeh mausam beet jayenga
Hamara aangan bhi phoolo se mehkenga

Is raat ki subah kabhi toh hogi
Dil main hai yeh aas jagi
Sune se mere ghar main bhi
Bachhoki kilkariya shor machayengi

Is raat ki subah kabhi toh hogi
Dil main hai yeh aas jagi…

Love SMS in English

Agar main dur ho jaon
To palkon ko jhapak daina
Agar ansu koi giraay
Samajh jana ke wo hoon main

Hathaili saamnay rakhna
Keh sab aansuu giraay us main
Jo ruk jaye ga hounto per
Samajh jana ke wo hoon main

Kabhi jo chand ko daikho
To tum yun muskura dena
Keh phirr baadal bhi aajayee
Samajh jana ke woh hoon main

Jo chal jayee hawa thandi
To ankhain band ker laina
Jo jhonka taiz ho ssab say
Samajh jana ke wo hoon main…

Love SMS

Kaash tu mara naseeb hota
toh har saans se ziyada mere qareeb hota

kaash tu mere haath ka lakeer hota
toh main mar kar bhi tujh se juda na hoti

kambakhat ye kaash tujh ko mujh se juda karta hai
aagar yeh kaash na hota to main tere qareeb hoti…

“AABAD RAHO”

Acha hai !
Tum Apney Ghar Aabad raho
Sukhi Raho, Dil Shad raho

Wo jo ek Bandhan bandha tha
Piyar ka Tum ne
Us ka kuch mat Khayal karo
Aazad ho Tum
Aazad Raho

Hum to Duaa kartey they so
kartey hi Rahaingey
Jub tak bhi ab Yaad raho

” Aabad Reho”

Regards.
Mohsin Jari

Dear friends,

There is a small story behind this shayari of Maa. I just felt like sharing with you all. As you all know i like to write shayari & my mom likes the way i express my words.
Once day she asked me: “Sayeeda, you write nice shayaris on almost every topic. Have u ever thought of writing about me? about Maa?”, I was speechless & promised her to write something of my own for her. At the begining i couldn’t generate words, I was simply lost, I didn’t know how & where to start from. Than I thought of an alternative name for the word Maa. What could it be? At last I realised its “Thanda Saya” & the rest (World) is “Dhoop”. From here I tried to make my words & it went on on & on. After I finished I got the best 3 gifts in this world. Tears of happiness, a kiss & a warm hug of my mom . I love you mom

MAA

Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne

Jab bhi maa ka naam liya,
Os ka beshomaar pyar paya hai mai ne

Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne

Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne

Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne

Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
Aisa farishta paya hai mai ne

Meri har fiker ko janne wali,
Mere jazbaaton ko pehcanne wali,
Aisi hasti payi hai mai ne

Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne

By: Sayeeda (Tabassom)

Page 2 of 612345...Last »

Our Privacy Policy recognizes that your privacy is important.