Taras gaye aapke deedar ko,
Phir bhi dil aap hi ko yaad karta hai,
Humse khusnaseeb to aapke ghar ka aaina hai,
Jo har roz aapke husn ka deedar karta hai.
`
Thi woh koi ladki ya thi woh koi balaa,
Dil uski khoobsoorti mei toh hai bas dhalaa,
Kuch lamho ke deedar ke aage na ye dimaag chalaa,
Jaise hua koi jadoo ya dikhaayi kisi ne kalaa.
`
Chaand ke nikalne se dikhti hai aapki jhalak,
Aap samne hote ho toh na jhapakti hai palak,
Aapke aage feeki lagti hai heere ki chamak,
Aur aapse he toh aati hai zindagi mei raunak.
`
Aarzu hai tumhe paane ki,
Aur koi chaahat nahi deewaane ki,
Shikwa mujhse nahi khuda se karo,
Kya zaroorat thi tumhe khoobsoorat banaane ki.
`
Woh aapka palke jhuka ke muskuraana,
Woh aapka nazarein jhuka ke sharmaana,
Waise aapko pata hai ya nahi hume pata nahi,
Par is dil ko mil gaya hai uska nazaraana…