Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain, hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain. Teri dosti ke saaye mein zinda hain, hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.

Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar

Bazu-o-mein dum rakhta hun,
Dil mein gum rakhta hun,
Pata tha SMS ayega tera,
Isliye DISPRIN sang rakhta hun

Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.

Aey mere SMS mere dost ke pass jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jage to dhire se ‘Muskarana’,
Phir kehna “KANJUS” SMS karo!

Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai

Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain

Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte

Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha…..

Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge

Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe

Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai

Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye

Ek ada aapke dil churane ki, ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki.