Har aah tabasum ban jaye
har ashq sitara ho jaye
duniya hi badal jaye apni
tera ek ishara ho jaye

mana ki muhabat ki rahon mein
har kadam pe sau-sau khatre hain
lekin ye sab kuch tal jaye
agar sath tumhara ho jaye

ankhein ro ro kar kehti hain
daman ko bhigokar kehti hain
marne se pehle ek baar
deedar tumhara ho jaye