Zaroori Kaam hai lekin Rozana Bhul jata hun
Mujhey tum se Mohabbat hai batana Bhul jata hun

Teri Galion Mein Phirna itna ahca Lagta hai
Mein Rasta Yad Rakhta hun thikana Bhul jata hun

Bas itni baat per main Logon ko ahca nahi lagta
Mein neki kar tu deta hun Jatana Bhul jata hun

Shararat le ke Ankhon main wo Tera Dekhna touba
Mein Nazron pe jami Nazrein jhukana Bhul jata hun

Mohabat kab hui Kesay hui sub yad hai mujh ko
Mein kar k Mohabat ko Bhulana Bhul jata hun.