Aye dost dosti aisi nibhao ke sari duniya dekhti reh jaye,
Are duniyawale to kya khud khuda bhi aakar tumse puchhe
Mujhse Dosti Karoge ?
`
Kismat par etabar kisko hain
Mil jaye khusi inkar kisko hain
Kuch majbooriya hain mere dost
Warana judai se pyar kisko hain”
`
Kal na phir ye samaa hoga,
Hum mein se kaun najaane kahaan hoga..?
Murjhaaye phool to mil jaenge kitaabon mein,
Par bicchde Doston ka shayad hi koi pataa hoga….
`
Kya zamaana tha,hum roz mila karte the;
Raat bhar chaand ke humraaz fira karte the..
Dekh kar jo chupchaap guzar jaate hain,
Kabhi us shakhs ko apna Dost kaha karte the….
`
Rishton ki kitaab ka cover hai dosti,
Dosti se bani hai hamari hasti,
Khoon ke rishton ki baat aap karte hain,
Hamare liye to zindagi hai aap ki dosti.
`
Dost dost se khafa nahi hota,
Pyaar pyaar se juda nahi hota.
Bhula dena meri kamiyon ko,
Kyunki insaan kabhi Khuda nahi hota…
`
Ye safar Dosti ka kabhi khatm na hoga,
Doston se pyaar kabhi kam na hoga.
Door rehkar bhi jab rahegi mehek iski,
Hamein kabhi bicchadne ka gham na hoga…
`
Hum wo nahi jo tujhe gham mein chhod denge,
Hum wo nahi jo tujhse naata tod denge…
Hum to tere wo Dost hain,
Jo agar teri saasein band ho,
to apni saasein jod denge…..
`
Karni Khuda se kuch fariyaad baaki hai,
Hamein unse kehni kuch baat baaki hai…
Maut aegi to kehna ruk,abhi apne Dost se
Mulaakaat baaki hai….
`
Wada to nahi karte dosti nibhaynge,
Koshish yahi rahegi apko nahi satayenge,
Zarurat pade to dilse pukarna,
Marte bhi honge to mohlat lekar aayenge..